How To Activate F&O Derivatives Segment with mStock

14 Aug, 2023
45,458
Share

Interested in derivatives trading? Learn how to activate the derivatives segment on mStock for a trading advantage. This video outlines the benefits and advantages of trading in derivatives.

Once you activate the derivatives segment on mStock, you gain access to trade in Futures and Options! Why wait?

Activate the derivatives segment now and kickstart your trading journey with mStock.

Aaj ke iss video mein hum dekhenge mStock par Derivatives yaani F&O trading ke faayde aur iss segment ko activate karne ka tareeka.

Pehle dekhte hain Derivative kya hota hai?

Derivative ek tarah ka contract hai jiski value underlying asset par nirbhar hoti hai. Saadharan taur par, inn underlying assets mein stocks, bonds, market index, commodities, currencies shaamil hote hain.

Derivatives chaar mukhya prakaar ke hote hain: Forward contracts, Futures, Options, aur Swaps. Bharat main zyaadatar Futures aur Options contracts trade hote hain.

Agar aap derivative trading karna chahte hain toh iss video ko ant tak zaroor dekhein kyunki mStock par derivative trading karne ke kayi faayde hain!

Pehla fayda yeh hai ki mStock ke saath aapko har product pe zero brokerage ki suvidha milegi yaani ki futures aur options mein bhi aap jeevanbhar ke liye zero brokerage pe trade kar sakte hain - sirf ek baar 999 (nauso ninyanve) rupay ki account opening shulk dekar.

Dusra yeh ki aap jald hi Margin Pledge ka bhi laabh utha sakte hain jo ki mStock aapko uplabdh karwayega matra 8.99% per annum ke byaaj dar par!

Aur teesra faayda yeh hai ki aap mStock par derivative segment kabhi bhi apne sahuliyat ke hisaab se activate kar sakte hain. Aaiye dekhte hain kaise.

Sabse pehle aap mStock pe login karein aur Menu par jaakar apne naam par tap karein, jisse aap apne Profile page par aa jayenge.

Yahan aapko Account Details ke neeche Segments ka menu dikhayi dega, jisme aapke activated segments dikhenge. Abb derivative segment activate karne ke liye modify icon pe click karein.

Iske baad aapko agle page pe neeche scroll karke “Segment Activation” par click karna hai.

Segment activation ke andar aapko aapke already activated segments dikhayi denge. Aur derivative segment activate karne ke liye aapko Futures and Options ke aage jo “Activate Now” button hai, uss par click karna hoga.

Yadi aapke m.Stock account ke saath 10,000 (dus hazaar) rupay ya use zyada ki DP holdings joodi huyi hai, toh agle screen par aapko income proof ke taur par sirf apne DP holdings statement aur T & C checkbox par tap karke Confirm button par tap karna hoga. Aur agar aapki DP holdings ki value 10,000 rupay se kam hai, toh aapko supporting document upload karne ka option aayega jo ki segment activation ke liye aniwarya hain. Aapko accepted documents ki soochi mein se koi bhi ek sahi document upload karna hoga.

Document upload karne se pehle kuchh chijon Ka dhyaan rakhna zaroori hai, jaise ki:

  • aapke paas pichle 6 mahino ka bank statement ya updated bank passbook hona chaiye jisspar aapka naam, bank logo aur bank account number bahut hi saaf tareeke se dikhayi de.
  • Yadi aap pichle 3 mahino ke salary slips upload kar rahe hain to uss par company ke saare details saaf dikhaayi dene chahiye.
  • Agar aap DP holding statement upload kar rahe hain toh woh poora statement hona chahiye, jispe aapka naam saaf tareeke se dikhayi de.
  • Koi bhi document password lock nahi hona chaiye

Dhyaan rakhiye, documents ke saaf copies upload karne hai. Screenshots ko valid nahi maana jaayega.

Anya valid documents hain - Networth Certificate, Latest ITR, form 16A ya form 16B.

Fir document ka location browse karke file select karein. Sirf PDF, JPG aur PNG formats hi accept kiye jaate hai. Saath hi saath yeh bhi dhyan rakhna hai ki file size 5 (paanch) MB tak hi ho. Uske baad “Risk Disclosure T&C” ke

Check box pe tik karke upload button per click karein.

aapko ek request recieved message ka popup box dikhega. Yadi aapke documents sahi hain toh 2 (do) se 3 (teen) karya diwas ke bheetar aapka derivative segment activate ho jayega.

Agar aapka activation request approve ho gaya toh aapko mStock profile page pe segments section mein NSE FNO aur NSE Currency dikhenge.

Agar humaari operations team ne verification ke dauraan aapka koi document reject kiya hoga, toh aapko email ke dwaara soochit kiya jayega, jisme rejection ka kaaran bhi likha hoga. Email mein activate derivate segment pe click karke, supporting documents ko dubaara upload kare.

Toh, iss prakar aap, m.Stock par derivatives segment activate kar sakte hai.

Agar aapko yeh video acchi lagi ho toh like aur share zaroor kijiye. Aur aise hi adhik jaankaari ke liye, humaare Youtube channel ko subscribe zaroor kijiye.

Recommended Videos

Power your investments with our smart trading platforms

mobilefooterimg
  • app_download_icon_img
    5 million+
    App downloads
  • 1_Click_icon_img
    1-Click
    Order Placement
  • higherreturns_icon_img
    2,361 Crore+
    Average Daily Turnover