How to Verify Holdings and generate T-PIN?
Worried about stock safety?
Watch this video to learn how to check your holding with m.Stock before selling your share.
Here are step-by-step instructions on how to verify your stock holdings and generate a TPIN to help validate your sell transactions.
You will learn two ways to generate TPIN, One via the m.Stock app/website and other directly through the CDSL website.
Kya aapko apne stock holdings ke security ki chinta hoti hai? Issi chinta ko dur karne ke liye, SEBI aur CDSL ne ‘Verify Holdings’ ke process ko mandatory banaya hai. Verify holdings ke dwaara, aap apne broker ko aapke sell transactions ko execute karne ki permission dete hain, jo ki e-DIS ke madhyam se kiya jata hai. Aur inn holdings ki verification process ke liye T-PIN zaroori hota hai.
TPIN matlab Transaction Personal Identification Number. TPIN ek unique PIN hai jiske zariye aap verify holdings karke apne saare sell transactions ko securely poora kar sakte hain.
Verify holdings aap do tareeke se kar sakte hain.
Pehla tareeka yeh ki aap har ek stock ko sell karte waqt, uss stock ko verify karein.
Ya fir, portfolio ke equity section se “Verify Holdings” par tap karke, aapke portfolio ke saare stocks ko ek saath verify kar lein.
Taaki, aapko ek din mein baar baar verify holdings karne ki zaroorat na ho.
Ek baat yaad rakhiye, yeh verification process sirf ek din ke liye valid rehta hai. Iska matlab yeh hai ki agar aapko agle din apne shares sell karne hain toh aapko firse unn holdings ko verify karna hoga.
Ab kyunki ‘Verify Holdings’ karne ke liye TPIN zaroori hai, aaiye dekhte hain ki TPIN generate kaise karte hain?
T-PIN generate karne ke do tareeke hain – mStock login se ya fir seedhe CDSL website se.
Dhyaan rakhiye, ek TPIN Nabbe (90) dino ke liye valid hota hai.
Sabse pehle apne m.Stock mobile trading app ya website par login karein. Uske baad Portfolio pe jaiiye aur “Equity trading Portfolio” par tap kijiye. Yahan aapko “Verify Holdings” par tap karna hai.
Uske baad, aapko CDSL page pe redirect kiya jaayega. Yahan aapko do options dikhenge - “Enter TPIN & Verify Holdings” aur “Request New TPIN”.
Aapko “Request New TPIN” par tap karna hai. Phir ek six-digit TPIN aapke registered email id aur mobile number pe aayega. Iss TPIN ko use karke aap aapke holdings ko eDIS ke through verify kar sakte hain.
Agar aapko T-PIN pehle se pata hai, toh “Enter TPIN & Verify Holdings” pe tap kariye! Uske baad, aapko CDSL ke page pe redirect kiya jaayega. Yahan aapko TPIN enter karke, "Verify" pe click karna hai.
Agle page pe aapke moujuda holdings ke details jaise ki ISIN number, Scrip Name, Quantity ityaadi dikhenge. Inn details ko check karke aap upar diye gaye OTP field pe jo six-digit ka OTP aapke registered mobile number aur email id pe aaya hoga, use enter karein. Uske baad Verify button par tap karein.
Verification safal hone ke baad, aapko screen par ek success message dikhega.
Abb aap apne sell transaction ko execute kar sakte hain!
Aap T-PIN seedha CDSL page k dwara bhi generate kar sakte hain! CDSL ke EDIS page par jaiiye aur click here to generate TPIN for eDIS transaction par click kariye. Wahan aapka 16 digits ka BO ID aur PAN enter kijiye. BO ID aapko aapke mStock profile section mein dikh jaayega.
Phir CDSL dwara aapko aapke registered email id aur mobile number par bheje gaye six digit ke OTP se authenticate karna hoga.
Aur iss step ke baad, aapka TPIN generate ho jayega aur aapke registered email id aur mobile number pe aa jayega!
Agar aapko yeh video acchi lagi ho toh like aur share zaroor kijiye. Aur aise hi adheek jaankaari ke liye, humaare Youtube channel ko subscribe zaroor kijiye.