How to Transfer Your Demat Account to mStock

21 Sep, 2023
11,280
Share

Join us in this instructional video where we guide you through the seamless process of transferring your shares from your current demat account to mStock.

The transfer of shares involves relocating your stocks/securities from one demat account to another, and we'll provide you with a clear, step-by-step demonstration.

Gain the knowledge you need to effortlessly manage your share transfers and make the most out of your investment experience with mStock. Watch the video now for a hassle-free transition of your securities!

Agar aapne m.Stock par apna account open kar liya hai, toh abb baari hai aapke moujuda share holdings ko m.Stock account mein transfer karne ki.

Zero brokerage ka laabh toh aap utha hee rahe honge. Abb kyun nahi apne moujuda share holdings ko bhi funding lene ke liye use karein?

Jee haan, aap unn stock holdings ko pledge karke jald hee m.Stock par Pledge Shares ki suvidha ka laabh utha payenge. Kyunki m.Stock launch kar raha hai ek bahut hee kifayati interest rate – kewal आठ दशमलव निन्यानबे प्रतिशद (8.99% ) prati varsh, par Pledge Shares ki suvidha!

m.Stock par Pledge Shares ke kayi aur faayde bhi honge, jaise ki Assi (80) pratishat tak funding aur Saat sau (700) se zyada stocks mein trade karne ki suvidha.

Toh aaiye abb dekhte hain ki m.Stock account mein apne moujuda stock holdings ko transfer kaise karte hain.

m.Stock par login ke baad, aap Menu par tap karein. Phir Profile section mein DP Transfer ke neeche diye gaye "Transfer Now" button par tap karein.

Stock transfer initiate karne ke liye kuch documents jaroori hote hain, unn mein se ek hai Client Master Report yaani ki CMR.

Toh iss page pe aapko “Get m.Stock's CMR on email” button par tap karna hain. Jisse automatically aapke m.Stock account ka CMR copy aapke registered email id pe bhej diya jayega.

Iske baad aapko apne moujuda stockbroker se Delivery Instruction Slip yaani ki DIS collect karna hai aur usmein saari details fill karni hai, jaise ki

mStock ka DP ID aur aapka mStock Client ID -yeh dono aanth anko (8) ke number hote hain, jo aapko mStock ke CMR copy pe mil jaayega.

Next hai DP Name jahan aapko likhna hoga Mirae Asset Capital Markets.

Phir aapko holdings ki details enter karni hai – scrip ya security ka naam, uska ISIN number aur uski quantity details. Ye saari jaankari aapko apne moujuda broker ke Demat Account Holding report pe mil jaayegi. Ek baat yaad rakhiye ki DIS pe Demat account holder ka naam match hona anivarya hai.

Abb yeh filled DIS aur mStock ka CMR copy aapko apne moujuda stockbroker ko bhejna hai.

Share holdings transfer karne ke liye lagbhag paanch (5) se saat (7) karya diwas lag sakte hain aur yeh poori tarah se aapke moujuda stockbroker pe nirbhar karta hai.

Dhyaan rakhiye, aap ek individual account se joint account yaa fir joint account se individual account mein shares transfer nahi kar sakte hain. NRI account ke liye bhi yeh suvidha filhaal uplabdh nahi hai.

Transfer safal hone ke baad, aapko aapke mStock portfolio mein apne puraane stock holdings dikhayi denge.

Par yahan aapko original buy price nahi dikhengi. Aapko yeh original buy prices apne moujuda stockbroker ke historic reports se mil jaengi.

Fir m.Stock par login karke menu mein se, profile section ke, "Update Prices" ke neeche diye gaye 'Update Now' button par tap karein.

Yahan aapko teen details har stock ke liye enter karni hain jaise ki Date, Quantity aur Price.

Abb ho sakta hai, ki aapne multiple tranches mein kisi stock ko purchase kiya ho.

Agar aisa hai toh, humaari yeh salaah hogi ki aap ek ek karke “Add Trade” pe click karke transaction ke basis par hi details bharein taaki hum aapka long-term aur short-term profit ya loss sahi tareeke se calculate kar paayein.

Saari jaankari enter karke SUBMIT button par tap karein. Phir ek karya diwas ke andar aapke portfolio mein prices update ho jaengi.

Aur iss tarah, aap aasani se apne moujuda shares ko mStock mein transfer kar sakte hain.

Shares yahan transfer karne se ye hoga ki aapko apni poori portfolio ka single view ek hi stockbroker ke paas mil jayega, aur aap P&L report, tax calculations yeh sab kuch aasani se ek hi jagah dekh sakte hain.

Iss se aap apne investments aur transactions ko easily monitor bhi kar payenge.

Agar aapko yeh video acchi lagi ho toh like aur share zaroor kijiye. Aur aise hi adhik jaankaari ke liye, humaare Youtube channel ko subscribe zaroor kijiye.

Recommended Videos

Power your investments with our smart trading platforms

mobilefooterimg
  • app_download_icon_img
    10 million+
    App downloads
  • 1_Click_icon_img
    1-Click
    Order Placement
  • higherreturns_icon_img
    2,203 Crore+
    Average Daily Turnover